yeh mehlon yeh takhton yeh tajon ki duniyan
yeh insaan ke dushman samajon ki duniya
yeh daulat ke bhooke rawazon ki duniya
yeh duniya agar mil bhi jaae to kya hai...
yeh duniya agar mil bhi jaae to kya hai...
har ek jism ghayal har ek rooh pyaasi
nigahon me uljhan dilon main udasi
yeh duniya hai ya aalme bad hawa si
yeh duniya agar mil bhi jaae to kya hai...
yeh duniya agar mil bhi jaae to kya hai...
yahan ek khilona hai insan ki hasti
yeh basti hai murda paraston ki basti
yahan par to jeevan se hai maut sasti
yeh duniya agar mil bhi jaae to kya hai...
yeh duniya agar mil bhi jaae to kya hai...
jala do ise bhoon dalon yeh duniya
mere samne se hatha do yeh duniya
tumhari hai tum hi sambhalon yeh duniya*
enough said...
*cf: Sahir Ludhiyanvi, Pyaasa: 1957
1 comment:
I love this song . Googled for an English translation...didn't find it. ya , i am that bad at hindi...
Post a Comment