Tuesday, March 28, 2006

jinhe naaaz hain hind par....

yeh kooche yeh neelam ghar dilkashi ke
yeh lut te hue karwan zindagi ke
kahan hain kahan hai muhafiz khudi ke
jinhe naaz hai hind par woh kahan hain
kahan hai kahan hai kahan hai

yeh kurpech galiyan yeh badnam baazar
yeh gumnaam rahi yeh sikkon ki jhankar
yeh ismat ke sauden yeh saudaun pe takrar
jinhe naaz hai hind par woh kahan hain
kahan hai kahan hai kahan hai


yeh sadiyon si bekhwaab sehmi si galiyan
yeh masli huin ad khili zald galiyan
yeh bikti hui khokli rang raliyan
jinhe naaz hai hind par woh kahan hain
kahan hai kahan hai kahan hai


woh ujle gareechon maian payal ki chan chan
thaki haari saanson pe table ki dhan dhan
woh ujle dareechon maian payal ki chan chan
thaki haari saanson pe table ki dhan dhan

yeh behrooh kamron me khansi ki than than
jinhe naaz hai hind par woh kahan hain
kahan hai kahan hai kahan hai


cf: Sahir Ludhiyanvi, Pyaasa: 1957

2 comments:

- Aye Davanita said...

what's this mad melancholic, cigarette and coffee - life's important unimportant pondering through vintage songs phase you're in man? you sound mad depressed -

wake up!

it isn't your time yet... it isn't your time yet.

Y? said...

will you not post more often ?